Wednesday, February 10, 2010

~Toota ek Qahar...Meri Rooh par~


Dard ka ye qahar
Teri mohabbat ki meher
Raat ka ye peher
Koi pila dey zeher
Be-noor sa manzar
Meri zindagi ki sahar
Khush hai dilbar
Mere sog par
Aazmaish na kar
Meri zaat par
Kabhi de sada
Kabhi baat kar
Kab tak katey
Yun soona safar
Kabhi iske dar
Kabhi dar badar
Koi abad nagar
Ho mera bhi ghar
Jaye surat nikhar
Tujhe dekhkar
Kabhi ankhbhar
Mere palkon mein utar
Mere dard par
Marham to bhar
Ab na jeeyun is kadar
Allah !!!!!
... Ab bas bhi kar

~Meg



7 comments:

  1. ....zindgi bahut bhari lagti hai jab vo bewafa yaad aati hai ...teri shayri ke saath sulagna ab kismat hamari hai

    ReplyDelete
  2. sulag sulag k aise sulgoge aina dekh der jaoge
    insaan to tm pehle na they alien bhi na kahlaoge....!!

    ReplyDelete
  3. Kuch Ajab Shaan Say ishq tujhse kiya karte the
    Hum majburiyon ko bhi badi shiddat se ziya karte the
    raah aasan ho jaaya karti thi sirf ek muskuraahat se
    pyaar jab hum tujhse ai bewafa kiya karte the
    dilo jaan tujhpe is kadar qurbaan kar diya karte the
    ki logon ko laila majnu hamare naino main dikhayi diya karte the..dilk

    ReplyDelete
  4. ahan...khub...shukria comments ka @ MARS , ANONYM , TEJ

    ReplyDelete
  5. Simply....Mmmmmmmmmmmmmmuuuuuuuuuuuuuuuuuaaaaaaaahhhhh

    ReplyDelete
  6. shukria Awais..par ye mmm kya hota hai ... ese lafz yhan mere blog par nahi jachtey...

    ReplyDelete