Koi tujsa kahan
Mere sitam meri jaan
Meri zindagi ka tu
Safar Tu carvan
Teri bahon ke gherey mein
Shamil mere dono jahaan
Tu meri sham-o-sahar
Tu hi zameen asmaan
Safar ke akhri mod par
Main chahun teri panah
Qayamat ki raat
Phir na hona tum juda
Azmaaish ke safar mein
Mujhe kiya kyu fanaa
Dharkano se pyar nichorkar
Tujhe chaha tha jaan e jahan
Ab to khwabon se bhi apne
Main rehty hu khaffa
Mere bas mein kahan
Mere jind te jaan
Mere subo-sham ki
Suno ye dastaan
Shab dhaltey hi burey khwab aatey hai
Khwab ho suhaney to raat toott jaty hai
Isi kashmakash mein meri
Sahar ho jaty hai
Tujhe chu lu ek roz
Meri dilli hai tamanna
Tere baazuon ke manind
Mukammal ho sanson ka carvan ....
~Meg~
bahot achi najam hai.....
ReplyDeletebahot shukriya
ReplyDeleteSo nicely said.. Really like it.
ReplyDeleteshukriya
ReplyDelete