Halaton ki andhi mein
Ek kagaz ki kashty sa dil
Tufanbhare manzar mein
Kaise paar ho manzil
Sunte the humsafar tujse
Hatheliyon ko jor do tum
Phir kisi aur ka hath thamkar
Meri lakeeron se phisley tum
Mumkin hi nahi ho pa raha
Tumhe yun bhi kubool karna
Maine socha na tha kabhi
Tumhe khudse door karna
Koi aisa kar ilaj aye hakeem
Ke yaaddash bhula baithu main
Rag rag se mitau uske nishan
Aur apne hi hathon usey gawa baithu main
~Meg~
i'm speachless hmmm ....... :) yuhi likhte rahiye ga g :)
ReplyDeletetej-s ...meri ankahi aapne padhi..isey sarhaney ka shukriya...shayad ye har us shakhs ki koshish hai jo kuch ese rishton se dur jana chahtey hai jo na tuttey hai na thik se jurtey hai...
ReplyDeletePaane se khone ka maza aur hai
ReplyDeleteBandh aankhon main rone ka maza aur hai
Aansoo bane lafz aur lafz bane ghazal
aur uss ghazal main tere hone ka maza aur hai