Kabhi mohalat na di tune dastaan sunaney ki
Aaj likh rahe hai kahani us maazi ki
Wo pal mojeza tha tujse mulaqat ka
Tune kheech li thi kashti meri tufaanbhare pani ki
Cherhaa tha taar tune dil se is dil ka
Lafzon ke sangeet se bani thi dhunn zindagni ki
Subo se sham karte the mohabbat ki bahaaron mein
Paray thi meri zaat se basti veerangi ki
Ungliyan parokar, hatheliyon ko jorrkar
Kheech li thi rooh tune is bawri deewani ki
Hairaan thi kismat meherbaan takdeer par
Phir josh ne thaan li itihaas rachaaney ki
Kaun tik paya hai, jo ab bhi tik payega
Afsos kismat ne kheli thi chaal muje azmaaney ki
Tere badaltey hi dhundla gayi har manzil
Ab Rooh kaanpty hai jab koi cherhey baat paas aaney ki
Gar lena hai imtehaan to Suno aye musafir
Muje na satana ke ab himmat nahi kuch kar jaaney ki
Choti hi sahi Par, Sunehri aur Yaadgar hai kahani
Meri aur mere dilbar jaani ki ...
~Meg~
Meghna...cheekhon ko gar surr mil jaayen tou naghma ban jaati hain..derd ko gar sahi lafz mil jaayen tou behel jaata hai...apne hi sahi..kyonki ye apne ghum hi tou hain...isko kuch aur sanwariye...haseen lagenge...
ReplyDeletechaand
haan ...sahi kehte ho aap...ab zindgi kisi tarah behelty hi nahi ... lafz hai..aur dard hai ..
ReplyDeleteye bhi na hote to jane kya hota..
bahot shukriya apki posting ke liye...
khush rahein