Zindagi ke station par bikhra hua woh Samaan hun
..... Jo kisika bhi nahi !!!
Friday, March 30, 2012
Ajeeb mausam ho chala hai meri jaanib Dariyaa Hawayein phoonk rahi hai Khirki ke dareechey se siskiyan nikal rahi hai Pal thehra hua sa lagta hai Bheetar gazab khamoshi hai Ek ghabrahat si hai dil mein ...Becheini ki lau tez ho rahi hai Sansein loon to rooh tharraty hai Aise mein do hi soorat nazar aaty hai Ya to koi aaney ko hai ... Ya koi bicharney wala hai Shayad main khoney ko hun aur woh paaneywala hai ... !!!
Tumhare ehsason mein doobi hui hun Khud se paray, tum mein jaa basi hun Meri rooh pe apne naksh chorey hai tumne Katra katra tumhare rangon mein rangi hun Main kahin tutt na jaun aaj ...bikhar na jaun Thakaan se choor hoon...itni ranjoor hun Ye intezar ke lamhe Ye pathreeli ankhein Kuredtey hue maazi ke pal Na behla paun jee ko na sehla paun Tum aa jao ke mukammal saans ley paun Aaj apna aap chor kar tum mein sama jaun Mera koi aur nahi ...Bolo main kahan jaun Mujhe qurbat dey...Mohabbat dey... Fanaa kar mera wajood ...Apni rooh mein dabo dey ...!!!
~Kashish
Tuesday, March 20, 2012
Uski qurbat,hasrat aur mohabbat humey zinda rakhty hai Aur usey zinda rakhty hai uski berukhi, bewafai, sangdili
Woh gar mohabbat na karey to hum marr jayenge Aur gar woh berukhi naa karey to khud marr jayega !!!
Hum to seh lengey ..Woh na seh payega Isliye kehtey hai ... Zulm dhaya kar... Sataya kar...Rulaya kar...!!!
~Kashish
Sunday, March 18, 2012
Na silsila-e-rabt rakha ... Na usney aas rakhi Ab to khwab dekhkey bhi hai aankh thaki...!!!