Paya hai kya zindagi pamaal kar key Mohabbat esi bala hai jo khayaal se bhi behaal kar dey ... ~Kashish
Socha tha jee halka karne likha karungi Dil ki baatein jo keh na paun khud hi se kahungi Par ye kya hua ke likhker bhi chain na paya barbad-e-dil ne Aur gazab lutf uthaya jab fasana suna sar-e-mehfil ne ~Kashish
Ye duniya jisne banayi hai Usey ye soch kahan se aayi hai Koi shakhs yahan aisa nahi Jiski hasrat paisa nahi Dilon ki baat na karo yaaro Ye ranj-o-ghum ka sheher hai pyaro Ruktey chaltey uthtey bethtey Sotey jagtey mehez bhatkey rehtey Kahin khwahish-e-haasil mohabbat hai Kahin pamaal viraan-e-dil ki barkat hai Kahin peher-e-hijr mein zindagi ruki hai Kahin sajda-e-mohabbat me rooh jhuki haiAb tanhayi mein tairkar bhi thakaan hui hai Kinarey tak le jaye...Kya aisa koi hai ? ~Kashish
Raat guzar chuki hai aadhi Arsh-e-Khuda bhi pur num hai Dhuan uraa gayi hai baati Aur bujhey bujhey se hum hai ~Kashish
Ye kaun shakhs hai meri taqdeer mein Zindagi ki raahein jis-sey mileygi Ek Umr to katt gayi uske bin Par Zindagi usi ke sang kateygi Woh koi aam shakhs nahi Jisey khuda se maine hai maanga Jab dekhun hatheliyon ko apni Usi ke naqsh se buna hai taqdeer ka dhaga Main chahey kahin par bhi palun Mujhe Woh dhoond hi lega Hai yakeen is dil ko mere Jo sada mera hi raheyga Mere shohar....Mere dilbar Mujhe woh khoney hi nahi deta Dawa hai uska main usi ki hun Jo mujhe kisi aur ka honey nahi deta ~Kashish