Nafrat si ho gayi hai Ye zindagi ka daur Ye bekaar se din raat Guzarta hua har ek pal Ye kaanton se bhari raah Ek ek shakhs jo Mujhe zindagi naa jeeney ko uksaata hai Urooj par hai sehne ki sari quwattein Oob gaya hai dil Chubhta hai waqt ka har ek sirra Mohabbat ke badle milta hua maar Mithey lafzon ke badle har-su ughalta zeher Mujhe dunia se bahot door kar raha hai wo shakhs jo meri qurbaton me hai Sab fareb hai Mere seeney ka sara bojh utaar dun kahin jaakar Jo jitna khaali hai andar se Woh utna bojhal kyun hai ? Khoney ko bhi kuch nahi Paaya bhi kuch nahi Daba hai koi rog gosha e dil me Ghar kar gayi hai kaali tanhayee Jaise poorey wajood par laanat bhej gaya ho koi ... Naa kar sitam .... ab aur nahi -Kashish Khan
Kahin sehraon mein abr hai Kahin samandar mein pyaas hai Koi bhanwar ley doobega Mujhe kinaarey ki aas hai Kahin jungalon ki jheel mein Sakoon bhar saans hai Kabhi shehron ki bheer mein Khaufnak ehsaas hai Na baayes-e-musarrat koi Na lams-e-mohabbat paas hai Hue kuch yun pamaal-e-safar
Main aisi mohabbat karty hun Rooh ke har qatre se tumhari talab karty hun Sehra sehra hai meri zindagi, mera jahan Bas samandar ho jao, minnat ab karty hun Hum dono thakk chukey hai hijr ke in mausamo'n se Aao maqam-e-sifar se tumse phir mohabbat karty hun ....!!! ~Kashish
Sunday, December 9, 2012
Literature parhne wale log practical nahi hote Kitaabon ke sath jeeneywale log khwabon ki duniya me rehtey hai Main theek thaak hun jahaan bhi jis haal mein rehty hun Chahey khwabon mein jeeyun
Chahey practical naa rahoon Chahey apni alag duniya mein behis basar karun Makaan-e-zaat me itmenan se katt raha hai safar raah-e-zindagi ka Pur-sakoon hoon
Khush hoon Kaifiyat-e-wafa ka mohar hai mujpar
Issey barhkar kya hi kamayee hai meri ...!
Aur phir Zindagi se agar khwab nikaal dein to baki kya reh jaata hai ? Gar Khwaab taqleef detey hai To phir haqeeqat bhi toh dety hai ........ !!?
~Kashish
Thursday, September 20, 2012
Andar se khamosh hun Phir bhi lafz hai kuch kehtey Zindagi to jeeni hogi Sab kuch sehtey sehtey Waqt ke saath saath Aao ismey behtey Mera dil bujh raha hai aaj Aye kaash koi paas aakey bethey Akele chal padi hun kisi raah par Bhari duniya ke saath rehtey Kya main bhi hun kisi ki aarzu Kya meri bhi hasrat hai kisiko Kya main hun zaroorat kisiki Koi aakar mujhe keh dey .... ! ~Kashish
Sunday, April 1, 2012
Likha tha maine muhabbat ka afsana Bheja tha paigaam likhkar lafz-e-jaana Parha jo khatt to unka ye sunaana Muhabbat baad me karna Pehle khatt dhangg se likh aana Maine kaha unsey Harf harf ye afsaana Kitna mushkil tha mera yun bayaan kar jaana Mera haunslaa jutaana phir tum tak pahochana Unka haathon mein mujhe phir khattt ka thamaana Mera unsey jazbaat-e-dil ka jataana Ke galtiyon pe na gaur farmana Is gunche ko na suljhaana Aakar ek bar jaan e jaana Bas meri saanson mein ulajh jaana !!!
~Kashish
Friday, March 30, 2012
Ajeeb mausam ho chala hai meri jaanib Dariyaa Hawayein phoonk rahi hai Khirki ke dareechey se siskiyan nikal rahi hai Pal thehra hua sa lagta hai Bheetar gazab khamoshi hai Ek ghabrahat si hai dil mein ...Becheini ki lau tez ho rahi hai Sansein loon to rooh tharraty hai Aise mein do hi soorat nazar aaty hai Ya to koi aaney ko hai ... Ya koi bicharney wala hai Shayad main khoney ko hun aur woh paaneywala hai ... !!!
Tumhare ehsason mein doobi hui hun Khud se paray, tum mein jaa basi hun Meri rooh pe apne naksh chorey hai tumne Katra katra tumhare rangon mein rangi hun Main kahin tutt na jaun aaj ...bikhar na jaun Thakaan se choor hoon...itni ranjoor hun Ye intezar ke lamhe Ye pathreeli ankhein Kuredtey hue maazi ke pal Na behla paun jee ko na sehla paun Tum aa jao ke mukammal saans ley paun Aaj apna aap chor kar tum mein sama jaun Mera koi aur nahi ...Bolo main kahan jaun Mujhe qurbat dey...Mohabbat dey... Fanaa kar mera wajood ...Apni rooh mein dabo dey ...!!!